jo tere muNh se na ho sharmsaar aainah
to rukh kare soo-e-aainahdaar, aainah
kahe hai dekh ke ruKhsaar-e-yaar aainah
ke is safaai pe sadqe nisaar aainah
siyaah_roo na kare tark-e-ulfat-e-gulfaam
maiN bul_hawas ko dikhaauN hazaar aainah
safaa-e-dil ki kahaaN qadr teerah_rozi meiN
chiraaGh-e-sub'H hai shabhaa-e-taar aainah
woh saKht_jaaN hooN ke dikhlaayeN gar dam-e-murdan
to toRh de kamar-e-kohsaar, aainah
muqaabil us ruKh-e-roshan ke khul gayi qala'ii
na Thehraa aag pe seemab_waar aainah
samaa rahe haiN magar tere nau-b-nau jalwe
ke ban gaya hai tilism-e-bahaar, aainah
shikast-e-rang pe masti meiN haNste haiN ham bhi
dikhhaayeNge unheN waqt-e-Khumaar, aainah
mujhe to kahte ho mat dekh merii jaanib too
aur aap dekhte ho baar-baar, aainah
samajh to ''Momin'' agar na_rawaa hai Khud_biini
to dekheN kaahe ko parhez_gaar, aainah