Momin Khan Momin

1800 - 1851 / Delhi / British India

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham

Jo pehle din hi se dil ka kaha na karte ham
To ab ye logoN ki baatein suna na karte ham

Agar na haath mein us dilruba k dil dete
To dil pe haath sada dhar lia na karte ham

Us aafat-e-dil o jaaN par agar na mar jaate
To apne marne ki har dam dua na karte ham

Na karte us ki, ba-rang-e-hina, jo paa-bosi
To shakl-e-barg-e-hina yuN pisa na karte ham

Agar na haNsna haNsaana kisi ka bhaa jaata
To baat baat pe yuN ro dia na karte ham

Agar na dekhte wo pyaari pyaari surat, aah!
To eik eik k muNh ko taka na karte ham

Jo gham butoN ka na hota teri tarah Momin!
To dekh charkh ko, ' hai hai khuda! ' na karte ham
5577 Total read