diidaa-e-hairaaN ne tamaashaa kiyaa
der talak vo mujhe dekhaa kiyaa
aaNkh na lagne se sab ehbaab ne
aaNkh ke lag jaane kaa charchaa kiyaa
un se pariivash ko na dekhe ko'ii
mujh ko merii sharm ne rusvaa kiyaa
zindagii hijr bhii, ek maut bhii
marg ne kyaa kaar-e-masiihaa kiyaa
jor kaa shikvaa na karuuN zulm hai
raaz meraa sabr ne afshaa kiyaa
rah'm-e-falak aur mere haal par
tuune karam ai sitam-aaraa kiyaa