zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi