Mohsin Naqvi

Poet of Ahl al-Bayt] (1955 - 15 January 1996 / Sadat, Punjab / Pakistan

Jisam tarpa khak per tanha

Jisam tarpa khak per tanha
Rooh karti rahi safar tanha

Nend valo'n ko khabar kya iss ki
Kon jaga hy raat bhar tanha

Log soe kahi'n band kamro'n mai
Chand bhatakta hy dar-badar tanha

Sath deta hy kon manzil tak
Sath chalti hy rahguzar tanha

Shehr ka shehr bujha jata hy
Ja raha tha vo apne ghar tanha

Ae gham.e.zindagi k raat k chand
Dhoond mujh ko nagar nagar tanha

Vo jo hansta tha ehl.e.dil pe kabhi
Ro para khud ko dekh kar tanha

Bhool kar apne husan k aadab
Mere dil mai kabhi utar tanha

Ye khudao'n ka dor hy iss mai
Reh gaya faqat bashar tanha

Yad ae hazar shehr mujhe
Jab b dekha koi khanda'n tanha

Iss bhare shehr mai MOHSIN
Anjuman tha koi magar tanha
112 Total read