Mohsin Naqvi

Poet of Ahl al-Bayt] (1955 - 15 January 1996 / Sadat, Punjab / Pakistan

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah

Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah

Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah

Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye !
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah

Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman !
Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah

Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah
95 Total read