Mir Taqi Mir

1723 - 1810 / Agra / India (Mughal Era)

Ulti Ho Gain Sab Tadabiren, Kuch Na Dawa Ne Kam Kiya

ulti ho gain sab tadabiren, kuch na dawa ne kam kiya
dekha is bimari-e-dil ne akhir kam tamam kiya

ahd-e-jawani ro-ro kata, piri main lin ankhen mund
yani rat bahot the jage subah hui aram kiya

nahaq ham majburon par tohmat hai mukhtari ki
chahte hain so ap kare hain, hamko abas badnam kiya

sarzad ham se be-adabi to wahshat main bhi kam hi hui
koson us ki or gae par sajda har har gam kiya

aise aho-eharam-khurda ki wahshat khoni mushkil thi
sihar kiya, ijaz kiya, jin logon ne tujh ko ram kiya

yan k safed-o-syah main hamko dakhal jo hai so itana hai
rat ko ro-ro subah kiya, din ko jyon-tyon sham kiya

'Mir' k din-o-mazhab ko ab puchte kya ho un ne to
qashqa khincha, dair main baitha, kab ka tark islam kiya
169 Total read