Mir Taqi Mir

1723 - 1810 / Agra / India (Mughal Era)

Rahi Nagufta Mere Dil Mein Dastan Meri

rahi nagufta mere dil mein dastan meri
na is dayar mein samjha koi zaban meri

barang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanha
khabar nahin hai tujhe ah karwan meri

usi se dur raha asl-e-mudda jo tha
gai ye umr-e-aziz ah rayagan meri

tere firaq mein jaise khayal muflis ka
gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri

diya dikhai mujhe to usi ka jalwa 'Mir'
pari jahan mein ja kar nazar jahan meri
120 Total read