Mir Taqi Mir

1723 - 1810 / Agra / India (Mughal Era)

Koft Se Jan Lab Par Ai Hai

koft se jan lab par ai hai
ham ne kya chot dil pe khai hai

likhte ruqa, likh gae daftar
shauq ne bat kya barhai hai

didni hai shikasgi dil ki
kya imart gamon ne dhai hai

hai tasanna ke lal hain wo lab
yani ik bat si babai hai

dil se nazdik aur itna dur
kis se usko ashnai hai

jis marz mein k jan jati hai
dilbaron ki wo judai hai

yan hue khak se barabar ham
wan wahi naz-e-khudnumai hai

marg-e-majnun pe aql gum hai 'Mir'
kya diwane ne maut pai hai
83 Total read