Mir Taqi Mir

1723 - 1810 / Agra / India (Mughal Era)

Kabe Main Janbalab The Ham Duri E Butan Se

kabe main janbalab the ham duri-e-butan se
aye hain phir k yaron ab k Khuda k yan se

jab kaundhati hai bijli tab janib-e-gulistan
rakhti hai cher mere khashak-e-ashiyan se

kya khubi us k munh ki ae guncha naql kariye
tu to na bol zalim bu ati hai wahan se

khamoshi main hi ham ne dekhi hai maslahat ab
har ik se hal dil ka muddat kaha zaban se

itni bhi bad mizaji har lahza 'Mir tum ko
uljhaw hai zamin se, jhagra hai asman se
114 Total read