Mir Taqi Mir

1723 - 1810 / Agra / India (Mughal Era)

Bat Kya Admi Ki Ban Ai

bat kya admi ki ban ai
asman se zamin napwai

charakh zan uske waste hai madam
ho gaya din tamam rat ai

mah-o-khurshid-o-bad sabhi
uski khatir hue hain saudai

kaise kaise kiye taraddad jab
rang rang usko chiz pahunchai

usko tarajah sab ke upar de
lutf-e-haq ne ki izzat afzai

hairat ati hai uski baten dekh
khud sari khud satai khud rai

shukr ke sajdon mein ye wajib tha
ye bhi karta sajda jabin sai

so to uski tabiyat-e-sarkash
sar na lai faro ke tuk lai

'Mir' na chiz musht-e-khak Allah
un ne ye kibriya kahan pai
109 Total read