Mir Taqi Mir

1723 - 1810 / Agra / India (Mughal Era)

Arzuen Hazar Rakhte Hain

Arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko mar rakhte hain

barq kam hausla hai ham bhi to
dil ek beqarar rakhte hain

gair hai murad-e-inayat hae
ham bhi to tum se pyar rakhte hain

na nigah na payam na wada
nam ko ham bhi yar rakhte hain

ham se khush zam-zama kahan yun to
lab-o-lahja hazar rakhte hain

chote dil k hain butan mashur
bas yahi aitbar rakhte hain

phir bhi karte hain 'Mir' sahib ishq
hain jawan ikhtiyar rakhte hain
99 Total read