Mir Babar Ali Anees

1803 - 1874 / Faizabad, Uttar Pradesh, India

Walid Ko Imam-e-Husain (A) Ki Talab

JIS DUM YAZID SHAAM MEIN MASNAD-NASHIN HUWA,
SUB MULK ROOSIYAH KE ZEERE RANGEEN HUWA,
SHABBIR SE ZIYAD USAY BUGHZ-O-KEEN HUWA,
E'IZAAYE AHLEBAIT KE DAR PE LA'EEN HUWA;

KEHTA THA SALTANAT KA TOH SAMAAN DURUST HAI,
SAKHTI NA UNPE HO TOH RIYASAT YEH SUST HAI.

KHAT HAAKIM-E-MADINA KO LIKHA BA SHADD-O-MAD,
MAZMOON YEH THA KE TUB HAI ITA'AT TERI SANAD,
BAY'AT MERI HUSAIN SE LE TOH BA JADD-O-KAD,
MAIN FAUJ BHEJTA HOON KAREGI TERI MADAD;

BAI'YAT KAREIN TOH JALD IDHAR BHEJ DEEJIYO,
RAAZI NA HON TOH KAAT KE SAR BHEJ DEEJIYO.

POHCHA USAY MADINE MEIN JAB NAMA-E-YAZID,
PARDHKAR WO KHAT BOHOT MUTARADDID HUWA WALID,
DIL MEIN KAHA YEH ZALIM TOH HAI AQL SE BA'EED,
MAIN FATIMA KE LAAL KO KYONKAR KAROON SHAHEED;

DA'AWA-E-SALTANAT BHI NAHIN BE QUSOOR HAI,
AISE KINARAH KASH PA SITAM KYA ZAROOR HAI.

AAKHIR KISI KO BHEJ KE SHAH KO KIYA TALAB,
BHAI BHATIJE SHAH KI KHAATIR THAY SAB KE SAB,
FARMAYA USS SAY JAKAR MAIN AOONGA WAQT-E-SHAB,
MA'ALOOM HAI MUJHE JO BULAANE KA HAI SABAB;

SUB JAANTE HAIN BAIY'AT-E-FASIQ HARAM HAI,
USKI TALAB HUMEIN YEH AJAL KA PAYAAM HAI.

GHABRA GAYE YEH SUNKE AZEEZ-O-RAFIQ-O-YAAR,
QASIM NE RAKHLI SAAMNE SHAMSHIR-E-AABDAR,
AKBAR NE BHI TALAB KIYA ASBAB-E-KAARZAR,
AAYE KAMAAL-E-GHAIZ MAIN ABBAS NAMDAR;

KEHKAR YEH BAAT SAROT-E-SHER UTTH KHADE HUWAY,
HAAKIM KE GHAR NA JAAYENGE HUM BE LADE HUWAY.

ZAINAB KE DONO BETON KO USS DUM RAHI NA TAAB,
JAKAR HARAM SARA MEIN KAHA BAASADDE IZTERAAB,
HAAKIM KE GHAR MEIN JAATE HAI SHAH-E-FALAK JANAAB,
AMMA HUMARE NEEMCHAY LADEEJIYE SHATAAB;

BIGDEGI GAR TOH KHOON KE DARYA BAHAAYENGE,
KAAM AAJ BHI NA AAYE TO KIS KAAM AAYENGE.

SOON KAR SUKHAN HOGAYA ZAINAB KA RANG ZARD,
AANSU BHAR AAYE AANKHON MEIN UTTHA JIGAR MEIN DARD,
BOLI KALEJA THAAM KE AUR BHAR KE AAH SARD,
KYA WAALI-E-MADINA HAI AAMAADAH NABBASARD?

AISEE ALI KE LAAL SE TAQSEER KYA HUWI,
KYA JURM KYA GUNAAH HUWA KYA KHATA HUWI?

HAI MULK SE GHARZ NA USAY HUBB-E-JAAH HAI,
QABZE MEIN NA KHAZAANA HAI AUR NA SIPAH HAI,
LOGON SE RAABTA HAI NA GHAIRON SE RAAH HAI,
JAA-E-NASHAST QABR-E-RISALAT PANAAH HAI;

NAAHAQ YEH ZULM, HAQ SE NAHIN LOG DARTE HAIN,
JANG USS SAY JIS GHAREEB PE FAAKHE GUZARTE HAIN.

NANA HAIN USKE SAR PE NA HAIDAR HAIN NA HASAN,
SADQE GHAREEB BHAI PE HOJAAYE YEH BAHAN,
ZINDAH HAI JAB TALAK YEH TOH JEETE HAIN PANJATAN,
MARZI HAI DUSHMANON KI TOH HUM CHHORD DEIN WATAN;

GAR YAAN MILEGA CHAYN NA ZAHRA KI JAAYI KO,
JANGAL MEIN JAA RAHEGI BAHAN LEKE BHAI KO.

BHAI KO MERE PAAS BULAO SUNOON MAIN HAAL,
KYA BAAT HAI JO QAATAR AQDAR PE HAI MALAAL,
TANHA CHALA NA JAAYE KAHIN FATIMA KA LAAL,
BHAI PE KUCHH BANAY TOH KHOLOONGI SAR KE BAAL;

SHAYAD DAGHA HO JANG KA SAAMAN LIYE CHALAIN,
HAAKIM KE GHAR MEIN SAATH MUJHE BHI LIYE CHALAIN.

ZAINAB YEH KEH RAHI THI KE AAYE IMAM-E-DEEN,
MUNH DEKH SHAH KA RONAY LAGIN ZAINAB-E-HAZEEN,
FARMAYA SHAH NE ROTI HO KYON KHAUF KUCHH NAHEEN,
HAAKIM KE GHAR MEIN JAAYEGA HAIDAR KA JANASHEEN;

WO AUR HAI JAGAH TUMHEIN JISKA KHAYAAL HAI,
HAAN MUJH PE HAATH UTHHAYE KOI KYA MAJAAL HAI.

SAMJHA CHUKE BAHAN KO JO HAZRAT BACHASHM-E-TAR,
BANDHI SHAH-E-NAJAF KE KAMAR BANDH SE KAMAR,
DAALA ABAA-E-PAAK MOHAMMAD KO DOSH PAR,
LE KAR ASSA NABI KA CHALAY SHAH-E-BAHROBAR;

YUN SAATH THAY AZEEZ SHAH-E-KUM SIPAH KE,
JAISE SITAARE CHARQ PE HON GIRD MAAH KE.

USS DUM KAMAAL HAZRAT-E-ZAINAB THEEN BEQARAR,
BAIT-USS-SHARAF SE JAATI THEEN DAYWRDI PE BAAR BAAR,
ABBAS SE BULAKE KAHA AYE WAFA SHEYAAR,
BHAI KO CHHORDYO NA AKELA BAHAN NISAAR;

HAAKIM SE HUM SUKHAN JO SHAH-E-QUSH QISAAL HON,
TUM IK TARAF HO EK TARAF MERE LAAL HON.

YEH BAAT KEHKE RONE LAGI WOH JIGAR KABAAB,
CHALEES SHAQS LE KE CHALA IBN 'BUTURAAB,
JO DEKHTA THA SHAAN-E-IMAM-E-FALAK JANAAB,
KEHTA THA WOH KE RAAT KO NIKLA HAI AAFTAAB;

RASTE MAIN SHAB KO HUSN-E-NABI KA ZAHOOR THA,
AFLAAK TAK ZAMEEN KE SITAARON KA NOOR THA.
130 Total read