Jheelon se chaar paaye na uthte thay taaba shaam
Maskan mein machliyoon ke samandar ka tha maqaam
Aahu jo kahile thay tou cheetey siyaah faam
Patthar bhi sab pigal gaye thay misl e moum khaam
Surkhi udhi thi phoolon se sabzi gayaah se
Pani kuwein mein utra tha saaye ki chaah se
koson kisi shajar mein na gul thhe na barg o baar
ek ek nakhal jal rahaa thaa suurat e chinaar
hanstaa thaa koi gul na lahakataa thaa sabzaraar
kaantaa hui thi suukh ke har shaakh e baar daar
garmi ye thi ki zeest se dil sab ke sard thhe
patte bhi masle e cheharaa e madquuq zard thhe
girdaab par thaa shola e javaalaa kaa gumaan
angaare thhe habaab to paani sharar fishaan
muunh se nikal parhi thi har ek mauj ki zabaan
tah par thhe sab nihang magar thi labon pe jaan
paani tha aag garmi e roz hisaab thi
maahi jo seekh e mauj tak aayi kabaab thi
aainaa e falak ko na thi taab o tab ki taab
chhipane ko barq chaahati thi daaman e sahaab
sab ke sivaa thaa garm mizaajon ko iztiraab
kaafuur e subah Dhuundhtaa phirtaa thaa aaftaab
bhadaki thi aag gumbad e charkh e asiir mein
baadal chhipe thhe sab kurrah e zamharir mein
Sher uthte thay na dhoop ke maarey kachaad se
Aahu na munh nikaalte thay sabz zaar se
Aaina mahr ka tha mukaddar ghubaar se
Gardoon ko tapp chadi thi zameen ke bukhaar se
Garmi se muztarib tha zamana zameen par
Bhun jata tha jo girta tha dana zameen par
Aabe rawaan se munh na uthate thay jaanwar
Jangal mein cheetey phirtey thay ta'ir idhar udhar
Mardam thay saath pardon ke andar araq mein tar
Jis khana e mizaa se nikalti na thi nazar
Gar chashm se nikal ke tahar jaaye raah mein
PaRh jaaye laakh aabley paaye nigaah mein
Is dhoop mein khade thay akayle Shahe umam
Na daaman e Rasool tha na saaya e alam
Oudi thi lab zabaan mein kaante kamar mein kham
Sholay jigar se aah ke uthti thi dam badam
Be aab teesra tha jo din mehmaan ko
Hoti thi baat baat mein miknat zabaan ko
Kahta tha ibne saad ke ay aasmaan janaab
Bayyat jo keejiye ab bhi tou hAazir hai jaame aab
Farmatey thay Hussain ke ay khanuma kharaab
Darya ko khaak jaanta hai ibne Bu Turaab
Faasiq hai paas kuch tujhe Islaam ka nahi
Aab e taba ho ye tou mere kaam ka nahi
Garjum ka naam loon tou abhi jaam leke aaye
Kausar yaheen Rasool ka ehkaam leke aaye
Roohul ameen zameen pa mera naam leke aaye
Lashkar malak ka fatah ka paighaam leke aaye
Chahoon jo inqilaab tou dunya tamaam ho
Ulte zameen yoon ke na koofa na shaam ho
Farmake ye nigaah jo ki suwwe zulfiqaar
Tharrake pichley paaon hata wo sitam shi'aar
Mazloom par safoon se chaley teer beshumaar
Awaaz e kous harb huwi aasmaan ke paar
Naize uthake jang par aswaar tul gaye
Kaaley nishaan sipaah e saeron mein khul gaye
Jab rann mein taegh toul ke Sultaan e deen badhey
Geethi ke thaam lene ko roohul ameen badhey
Manind sher e haq kahin tahre kahin badhey
Goya Ali ulat te huwe aasteen badhey
Jalwa diya jari ne uroose musaaf ko
Mushkil kusha ki taegh ne chorda ghilaaf ko
Allah re taezi o barsh is shola rang ki
Chamki sawaar par tou khabar laayi tang ki
Pyasi faqat lahu ki talabgaar jang ki
Hajat usey na saan ki thi aur na sang ki
Khoon se falak ko laashon se maqtal ko bharti thi
Sou baar dam mein charkh pe chadhti utarti thi
Seene pe chal gayi tou kaleja lahu huwa
Goya jigar mein maut ka nakhan faru huwa
Chamki tou al amaan ka ghul chaar su huwa
Jo iske munh pa aagaya be aabru huwa
Rukta tha ek waar na das se na paanch se
Chehre siyaah hogaye thay is ki aanch se
Bichh bichh gayeen safon pe safein wo jahaan chali
Chamki tou is taraf idhar aayi wahaan chali
Dono taraf ki fouj pukari kahaan chali
Is ne kaha idhar wo pukara yahaan chali
Munh kis taraf hai taegh zanon ko khabar na thi
Sar gir rahe thay aur tanon ko khabar na thi
Allah re khauf taegh e Shahe kainaat ka
Zehr ah tha aab khauf ke maarey furaat ka
Darya mein haal ye tha har ek bad sifaat ka
Chara faraar ka tha na yaara sabaat ka
Ghul tha ke barq girti hai har dar'a posh par
Bhago Khuda ke kahr ka darya hai josh par
Har chand machliyaan thi zira posh sar basar
Munh kholey chipti phirti thi lekin idhar udhar
Bhagi thi mauj chordh ke girdaab ki sipar
Thay tah nasheen nahang ubhartey na thay magar
Darya na tham ta khauf se is barq o taab ke
Lekin padey thay paaon mein chhaley hubaab ke
Phir tou ye ghul huwa ke duhayi Hussain ki
Allah ka ghazab hai ladayi Hussain ki
Darya Hussain ka hai tarayi Hussain ki
Dunya Hussain ki hai Khudayi Hussain ki
Beda bachaya aap ne toofan se Nooh ka
Ab rahm waasta Ali Akbar ki rooh ka
Akbar ka naam sunke jigar par lagi sinaa
Aansoo bhar aaye rok li rahwaar ki ‘inaa
Mudh kar pukarey laashe pisar ko Shahe zamaa
Tum ne na dekhi jang meri ay pidar ki jaa
Qasmein tumhari rooh ki ye log dete hain
Lo ab tou zulfiqaar ko hum rok dete hain
Aayi nidaye ghaib ke Shabbeer marhaba
Is haath ke liye thi ye shamsheer marhaba
Ye aabru ye jang ye tauqeer marhaba
Dikhlaadi maa ke doodh ki taaseer marhaba
Ghalib kiya Khuda ne tujhe kainaat par
Bas khatima jihaad ka hai teri zaat par
Bas ab na kar wigha ki hawas ay Hussain bas
Dam le hawa mein chand nafas ay Hussain bas
Garmi se haampta hai faras ay Hussain bas
Waqte namaz e asr hai bas ay Hussain bas
Pyasa lada nahi koi yoon isdehaam mein
Ab ehtemaam chahiye ummat ke kaam mein
Labbaik kahke taegh rakhi Shay ne miyaan mein
Palti sipaah aayi qayamat jahaan mein
Phir sarkasho ne teer milaye kamaan mein
Phir khul gaye lipat ke pharere nishaan mein
Bekas Hussain zulm shi'aroon mein ghir gaye
Moula tumharey laakh sawaroon mein ghir gaye
Seene pe saamne se chaley das hazaar teer
Chhaathi pe lag gaye kayi sou ek baar teer
Pahlu ke paar barchiyaan seene ke paar teer
Padhtey thay das jo khainchte thay tan se chaar teer
Yoon thay khudang Zille Ilahi ke jism par
Jis tarha khaar hoti hai sahi ke jism par
Chaltey thay chaar simpt se bhaley Hussain par
Toote huwe thay barchiyoon waley Hussain par
Qatil thay khanjaroon ko nikaley Hussain par
Ye dukh Nabi ki godh ke paley Hussain par
Teer e sitam nikaalne wala koi nahin
Girtey thay aur sambhaalne wala koi nahin
Zakhmo se chur chur huwa Fatima ka laal
Sarde riyaaz Ahmad o Hyder huwa nidhaal
Chehre pa khoon mal ke basad hasrat o malaal
Ki arz Shay ne shukr hai ay Rabb e Zuljalaal
Bachpan se roz o shab thi yahi aarzu mujhe
Ya Rabb tere karam ne kiya surkhuru mujhe
Is haal se jo saif ki shiddat huwi siwa
Sadma huwa juda ta'ab tashnagi juda
Aashista rahwaar se Hazrat ne ye kaha
Ab waqt hai wida ka ay asb e ba wafa
Jangal mein ghar Batool ka lut ta hai Zuljanaah
Ab saath ek umr ka chut ta ha Zuljanaah
Ay khush kharaam ab na bachega tera sawaar
Ab ye gulu e khushk hai aur taegh e aabdaar
Ab laash par ghareeb ke daudeinge rahwaar
Pamaal hoga ab Shahe mardoon ka gul'ezaar
Baithega seena e pisar e Bu Turaab par
Qatil dharega paaon Khuda ki kitaab par
Zalim mere galey pa jo khanjar phiraega
Tujh se ye haal qahr ka dekha na jaaega
Naala haram ka hashr zamane mein laaega
Farte gham o alam se jigar thar tharaega
Ab hoga saamna qalaq o izteraar ka
Naize pe sar chadhega tere shahsawaar ka
Laakhon mein ek bekas o dilgeer hai hai
Farzand e Fatima ki ye tauqeer hai hai
Bhaaley wo aur pahlu e Shabbeer hai hai
Wo zahr mein bhujaye huwe teer hai hai
Ghussey mein thay jo fauj ke sarkash bharey huwe
Khali kiye Hussain pe tarkash bharey huwe
Wo gard thi jo bhaagtey phirtey thay waqt e jang
Ek sangdil ne paas se mara jabeen pa sang
Sadme se zard hogaya sibt e Nabi ka rang
Mathey pa haath tha ke galey par laga khudang
Thama gala janaab ne mathey ko chordh ke
Nikla woh teer halq e mubarak ko todh ke
Likha hai teen bhaal ka tha naawake sitam
Munh khul gaya ulat gayi gardan ruka jo dam
Khainchi sari galey ki taraf se ba chashme nam
Bhalein nikaley pusht ki jaanib se hokey kham
Ubla jo khoon nikalta huwa dam tahar gaya
Chullu rakha jo zakhm ke nichey tou bhar gaya
Girtey hain ab Hussain faras par se hai ghazab
Nikli rikaab paaye mutahhar se hai ghazab
Pahlu shigaafta huwa khanjar se hai ghazab
Ghash mein jhukey amama gira sar se hai ghazab
Qura'an rahle zeen se sar e farsh gir padha
Dewaar e Ka'ba baith gayi arsh gir padha
Gir kar kabhi uthey kabhi rakha zamee pa sar
Ugla kabhi lahu tou sambhala kabhi jigar
Hasrat se ki khayaam ki janib kabhi nazar
Karwat kabhi tadap ke idhar li kabhi udhar
Uth baithey jab tou zakhm se barchi ke phal girey
Teer aur tan mein gadd gaye jab munh ke bhal girey
Jangal mein aayi Fatima Zahra ki ye sada
Ummat ne mujhko loot liya wa Mohammada
Is waqt kon haqq e mohabbat karey ada
Hai hai ye zulm aur dou aalam ka muqtara
Unnees sou hai zakhm taney chaak chaak par
Zainab nikal Hussain tadapta hai khaak par
Zahra idhar tadap ke giri aur haram udhar
Qatil ne taegh phaer di Sayyad ke halq par
Haatif ne aasmaan se sada di pukaar kar
Faryaad kat gaya pisar e Fatima ka sar
Be jaan lab e furaat e Shahe tashna lab huwa
Mara gaya Imame zamaan tou ghazab huwa
Dekha jo Ahlebait e Nabi ne utha ke sar
Naizey pe aaftaab e Imamat pada nazar
Daude saroon pa khaak udhatey ba chashme tar
Dekha ye haal jab sarey baleen huwa guzar
Taza lahu rawaan hai taney paash paash se
Takbeer ki sada chali aati hai laash se
Pardah ulat ke binte Ali nikli ba chashm e tar
Larzaan qadam khameeda kamar gharke khoon jigar
Charoon taraf pukaarti thi sar ko peet kar
Ay Karbala bata tera mehmaan hai kidhar
Amma qadam ab uthte nahi tashnakaam ke
Pahuncha dou laash par mere bazu ko thaam ke
Bhayya mein ab kahan se tumhein laaon kya karoon
Kya kahke apne dil ko mein samjhaaon kya karoon
Kiski duhayi doon kisey chillaaon kya karoon
Basti parayi hai mein kidhar jaaon kya karoon
Dunya tamaam ujad gayi veerana ho gaya
Baithoon kahan ke ghar tou azakhana ho gaya
Hai hai tumharey aagey na khwahar guzar gayi
Bhayya batao kya tahey khanjar guzar gayi
Aayi sada na pooch jo hum par guzar gayi
Sad shukr jo guzar gayi behtar guzar gayi
Sar kat gaya hamey tou alam se firaagh hai
Gar hai tou bas tumhari judayi ka daagh hai
Haan aashiqon Hussain ke aah o buka karo
Zahra ka saath do madad e Mustafa karo
Haqq e mohabbat e Shahe wala ada karo
Be sar huwe Hussain qayamat bapa karo
Samjho shareek e majlis e matam Rasool ko
Sab milke dou Hussain ka pursa Batool ko
Bas ay Anees za'uf se larzaan hai band band
Aalam mein yaadgaar raheinge ye chand band
Tapke qalam se za'uf mein kya kya buland band
Aalam pasand lafzein hain sultaan pasand band
Ye fasl aur ye bazm e aza yaadgaar hai
Peeri ke walwale hain khiza ki bahaar hai