Meeraji

25 May 1912 – 04 November 1949 / Gujranwala / British India

Zindagi ik aziyat hay mujhey

zindagi ik aziyat hay mujhey
tujh sey milney ki zororat hay mujhe

dill main har lehza hay sirf aik khayyal
tujh sey kis darja mohabbat hay mujhe

teri sourat , teri zulfain, malboos
bas inhi chezoo.n sey raghbat hay mujhe

mujh pe ab faash howa raaz_e hayat
zeest ab sey teri chahat hay mujhey

taiz hay waqt ki raftaar bohat
aur bohat thori si fursat hay mujhey

sans jo beet gaya beet gaya
bas isi baat ki kulfat hay mujhey

ab nahi dill main merey shouq_e visaal
ab har ik sheh sey faraghat hay mujhey

ab na wo josh_e tamanna baaqi
ab na wo ishq ki wehshat hay mujhey

ab yoon hi um'r guzar jaay gi
ab yehi baat ghanimat hay mujhey
179 Total read