Meeraji

25 May 1912 – 04 November 1949 / Gujranwala / British India

Nagri Nagri Phira Musafir ghar Ka Rasta Bhul gaya!

Nagari nagari phira musaafir ghar kaa rasta bhuul gaya
Kya hai tera kya hai mera apna paraaya bhuul gaya

Apni biti jag biiti hai jab se dil ne jaan liya
haNsate ha.Nsate jiivan biitaa ronaa dhonaa bhuul gayaa

a.Ndhyaare se ek kiran ne jhaa.Nk ke dekhaa sharmaa_ii
dhu.Ndh sii chhab to yaad rahii kaisa tha chehara bhuul gaya

ha.Nsii ha.NSii mein khel khel mein baat hii baat mein rang gaya
dil bhii hote hote aaKhir ghaav kaa risanaa bhuul gayaa

ek nazar kii ek hii pal kii baat hai Dorii saaNso.n kii
ek nazar kaa nuur miTaa jab ek pal biitaa bhuul gayaa

jis ko dekho us ke dil me.n shikvaa hai to itanaa hai
hamein to sab kuchh yaad rahaa par ham ko zamaanaa bhuul gayaa

ko_ii kahe ye kis ne kaha tha kah do jo kuchh jii mein hai
'Meera ji' kah kar pachhataayaa aur phir kahanaa bhuul gayaa!
311 Total read