Gunahoo.n sey nashonuma pa gaya dill
dar_e pukhta kaari pe pohncha gaya dill
agar zindagi mukhtasir thi tu phir kiya
isi main bohat aish karta gaya dill
ye nanhi si vusat, ye nadaan hasti
nay sey naya bhaid pa gaya dill
na tha koi ma'bood, per rafta rafta
khud apna hi ma'bood banta gaya dill
nahi garya_o khanda main koi farq
jo rota gaya dill tu hansta gaya dill
pareshaa.n raha aap tu fikr kiya hay
mila jis sey bhi us ko behla gaya dill
kai raaz pinhaa.n hain lekin khilain gai
agar hashar k roz pakra gaya dill
bohat hum bhi chalal bantey they lekin
humain baatoo.n baatoo.n main behka gaya dill
kahi baat jab kaam ki Meera Jee nay
woheen baat ko jhat sey palta gaya dill