Deeda_e ashk baar hay apna
aur dill be-qarar hay apna
rashk_e sehra hay ghar ki weerani
yehi rang_e bahaar hay apna
chachm_e gariya sey, chaak damaa.n sey
haal sab ashkaar hay apna
haao-o ho mainhar aik khoya hay
koun yaan ghum-gusaar hay apna
baz sey un ki jab sey nikla hay
dill gareeb-ul dayaar hay apna
hum ko hasti raqeeb ki manzoor
phool k saath khaar hay apna
hay yehi rasm_e meh kadah shaid
nashsha un ka, khumaar hay apna
jeet k khwaab dekhtey jao
ye dill_e bad-qumaar hay apna
kiya ghalat sochtey hain Meera Jee
shair kehna shia'aar hay apna