Meer Taqi Meer

1723 - 1810 / Agra / India

Hastee Apnee Hubaab Kee See Hai

hastee apnee Hubaab kee see hai
ye numa'ish suraab kee see hai

naazukee uss ke lab kee kya kahiye
paNkhaRee ik gulaab kee see hai

baar-baar us ke dar pe jaata hooN
Haalat ab iztiraab kee see hai

maiN jo bola kaha ke ye aawaaz
usee KHaanah-KHaraab kee see hai

Meer" un neem-baaz aaNkhoN meN
saaree mastee sharaab kee see hai
231 Total read