ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna
ashiq ka apane akhri didar dekhna
kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna
ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna
ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar
laga hai mere paon mein a kar dekhna
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhna
sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna
gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar
is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka kahin har dekhna
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna
us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir'
jata hai leke ji hi ye azar dekhna