Koi kashti na koi langar hai,
Har taraf fikr ka samandar hai.
Kyun ye shakhon pa phool khilte hain,
Kyun ye shabnum shajar ka zewar hai.
Jeb-e-gul mai hai kis liye nakhat,
Kyun sadaf ke dahan mein gauhar hai.
Aswadi kyun hai sham ka chehra,
Ruye khursheed kyun munawwer hai.
Kyun banaye zamarudo yaqoot,
Kyun zami hikmaton ka mazhar hai.
Kis liye past hai ye farshe zami,
Aasman kis liye qaddawar hai.
Kyun mili hai gulab ko narmi,
Kis liye sakht itna pathar hai.
Kyun hai rangeen titliyun ka libas,
Kyun chaman ki faza muattar hai.
Kis liye khusk hai labe sahra,
Shakh par kis liye gule tar hai.
Wusaten kis liye hain la mehdood,
Kyun ye jeene ki had muqarar hai.
Shor karte hain kis liye jharne,
Itna khamosh kyun samander hai.
Kyun banaye ye abyaz-o-aswad,
Aadmi aadmi barabar hai.
Kis liye intezar jannat ka,
Jab ye duniya bahisht-e-paikar hai.
Hum pa ilzame be wafai kyun,
Jab tuhi katibe muqader hai.
Kyun ye pabandiyan qena'at ki,
Kyun zami nematon ka daftar hai.
Kis ki kawish hain zalimo mazloom,
Baaz wo kyun, ye kyun kabutar hai.
Khauf mein ji raha hai kyun insan,
Kyun ye sarpar azabe mahshar hai.
Jab fana mein nihan hai lutfe hayat,
Aadmi kyun baqa ka khugar hai.
Kyun jhapakti hain neend se palken,
Kis liye raat khwab aawar hai.
Doobne se yahi bachaye gi,
Maikashi aql ka shanawar hai.
Chand sooraj sharab peete hain,
Is liye ye jahan munawwer hai.
Maikada hai hayat ka zamin,
Maikade par jahan nichhawar hai.
Chain ki neend so raha hun main.
Jaam takiya shrab bister hai.
Mey se dariya bana lo seene ko,
Zindigi ka hubab pal bhar hai.
Haath mein jaam ahmareen aankhen,
Meri tasveer peshe daawar hai.
Bada khuwaron se darse wehdat lo,
Maikada maabadon se behtar hai.
Wo batayega raaz ki baten,
Wo jise maikada mayassar hai.
Mera qibla chhalakta saghar hai,
Sab najis hain sharab at'har hai.
Mujh se poochho sharab ki lazzat,
Ek ek boond mein samader hai.
Ghafilo maikade mein aa jao,
Ik yahi aa gahi ka daftar hai.
Ek ik boond mein hai abe hayat,
Jo bhi pee le wahi sikender hai.
Aao aakar tawafe jaam karo,
Shekh sahib ye hajje akbar hai.
In mussallon ko mai se tar kar lo,
Masjidon ki faza mukadder hai.
Uski thoker se phoot ti hai shafaq,
Jis ke dil mein sharable ahmar hai.
Khulne lagte hain band darwaze,
Maikashi maarfat ka jauhar hai.
Noor ke ghoont pee raha hun main,
Jalwa-e-toor mere ander hai.
Aisa lagta hai meri madhoshi,
Hosh mandon ke dil mein nashtar hai.
Mujh se chheeno na meri meykhuwari,
Ek yahi shauq banda parwar hai.
Dekh wo mey meri surahi mein,
Jis ki ek mauj juvye kausar hai.