Kazim Jarwali

Shair-e-Fikr] (15 June 1955 / Jarwal / India

Khawahish

Khushk hoton pa mere apne labe tar rakh de,
Mere saqi mere sehra pa samander rakh de.

Zad mein hai tez hawaon ki kitabe hasti,
Koi udte huye auraq pa patthar rakh de.

Zindigi qaid na kar jism ke aiwano mein,
Ye charagh apna kisi rah guzar par rakh de.
Inqilab asl mein us waqt mukammal hoga,
Zanu-e-khaar pa jab phool koi sar rakh de.
Ya to har shakhs mere hath pa baiat kar le,
Ya koi badh k mere halq pa khanjar rakh de.
Maqtale ishq mein ab tak jo padi hai be sar,
Koi us laash pa le ja ke mera sar rakh de.
Aaj Kazim jo nahin tere hunar ke qaayel,
Ru baru unke saheefa koi likh kar rakh de.
127 Total read