Fazaye shehar ki nabze khiraam baith gayee,
Faseele shab pa diya le ke shaam baith gayee.
Wo dhool jis ko hataya tha apne chehre se,
Wo aayino pa paye inteqam baith gayee.
Guzarne wala hai kya roshni ka shahzada,
Jo baal khol ke raste mein shaam baith gayee,
Main kis nasheb mein tera lahoo talash karun,
Tamam dasht pa khake khayaam baith gayee.
Bahut taweel safar ka tha azm ai 'Kazim',
Hayat chal ke magar chand gaam baith gayee.