Jigar Moradabadi

6 April 1890 - 9 September 1960 / Moradabad, Uttar Pradesh / British India

Kahan wo shokh, mulaqat khud se bhi na hui

Kahan wo shokh, mulaqat khud se bhi na hui
bas ek bar hui aur phir kabhi na hui
thahar thahar dil-e-betab pyar to kar lun
ab is ke bad mulaqat phir hui na hui
wo kuch sahi na sahi phir bhi zahid-e-nadan
bade-badon se mohabbat mein kafiri na hui
idhar se bhi hai siva kuch udhar ke majboori
ki hum ne aah to ke un se aah bhi na hui
104 Total read