Jan Nisar Akhtar

14 February 1914 - 19 August 1976 / Madhya Pradesh / India

Subah kii aas kisii lamhe jo ghaT jaatii hai

subah kii aas kisii lamhe jo ghaT jaatii hai
zindagii saham ke Khvaabo.n se lipaT jaatii hai

shaam Dhalate hii teraa dard chamak uThataa hai
tiiragii duur talak raat kii chhaT jaatii hai

barf siino.n kii na pighale to yahii ruud-e-hayaat
juu-e-kam-aab kii maani.nd simaT jaatii hai

aahaTe.n kaun sii Khvaabo.n me.n basii hai jaane
aaj bhii raat gaye nii.nd uchaT jaatii hai

haa.N Khabar-daar ki ik laGzish-e-paa se bhii kabhii
saarii taariiKh kii raftaar palaT jaatii hai
115 Total read