jaaiye baiThiye hukmraanoN ke biich
aap kyuuN aa gaye ham divaanoN ke biich
aur kyaa hai siyaasat ke baazaar meN
kuch khilone saje haiN dukaanoN ke biich
thaa jinheN ishq kaa hauslaa uTh gaye
tazkire rah gaye daastoN ke biich
ishq ke naam par aur to kyaa hogaa
dushmani ho gayii do gharaanoN ke biich
log baateN banaane pe aise tule
chhup gayii har haqiiqat fasaanoN ke biich
jalne vaaloN kii aaheN kahaaN jal sakiiN
ek dhuaaN hai abhii tak makaanoN ke biich
zindagaanii kii qadreN badalne lagiiN
log baNTne lage do zamaanoN ke biich
kam se kam ham meN ye hauslaa to rahaa
zindagii kaaT dii imtihaanoN ke biich
sher-o-fan kii sajii hai nayii anjuman
ham bhii baiThe haiN kuch nau-javaanoN ke biich