Ibn-e-Insha

15 June 1927 - 11 January 1978 / Phillaur, Punjab / British India

Ye baateN jhuuTii baateN haiN, ye logoN ne phailaaii haiN

ye baateN jhuuTii baateN haiN, ye logoN ne phailaa'ii haiN
tum Insha jii kaa naam na lo, kyaa Insha jii sauda'ii hain?

(saudaa'ii : melancholic)

haiN laaKhoN rog zamane meN,kyuN ishq hai rusvaa bechaaraa
haiN aur bhii vaj'heN vahshat kii, insaan ko rakhtii dukhiyaaraa
haaN ! bekal-bekal rahtaa hai vo piit meN jisne dil haaraa
par shaam se lekar sub'h talak yuuN kaun phire hai aavaaraa

(rusvaa : dishonored; vaj'heN : reasons; vahshat : loneliness; dukhiyaaraa : afflicted; bekal : restless; piit : love; aavaaraa : wanderer)

gar ishq kiyaa hai tab kyaa hai, kyuN shaad nahiN aabaad nahiiN
jo jaan liye bin Tal na sake, ye aisii bhii uftaad nahiiN
ye baat to tum bhii maanoge, vo Qais nahiiN Farhad nahiiN
kyaa hijr ka daruu mushkil hai, kyaa vasl ke nusKhe yaad nahiiN

(shaad : happy; aabaad : inhabited; uftaad : state of helplessness; Qais, Farhad : Legendary lovers; hijr : separation; daaruu : cure; vasl : meeting; nusKhe : prescription)

jo humse kaho ham karte haiN, kyaa "Insha" ko samjhaanaa hai
us laRkii se bhii kah leNge, go ab kuch aur zamaanaa hai
yaa chhoReN yaa takmiil kareN, ye ishq hai yaa afsaana hai
ye kaisaa gorak-dhandaa hai, ye kaisaa taanaa-baanaa hai

(takmiil : complete; afsaanaa : fable; gorak-dhandaa : puzzle)

ye baateN jhuuTii baateN haiN, ye logoN ne phailaa'ii haiN
tum Insha jii kaa naam na lo, kyaa Insha jii sauda'ii haiN?
215 Total read