us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega
wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega
ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega
kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega
jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega
ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega