Ibn-e-Insha

15 June 1927 - 11 January 1978 / Phillaur, Punjab / British India

Puch lena tha kisi khak basar se pehle

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle
ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle
ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle
ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle
chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle
146 Total read