ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai
kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai
katne lagin raten ankhon main dekha nahin palakon pe aksar
kabhi sham-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai
ham dil ko liye har des phire is jins ka gahak mil na saka
ai banjaro ham log chale ham ko to khasara hota hai
ham apni zaban se kuch bhi kahen shayar hai khayalon se khelen
a jao to baham mil baithe kabhi hijr bhi pyara hota hai
daftar se uthe kaife main gaye kuch sher kahe kuch kafi pi
pucha jo muash ka 'Inshaji' yun apna guzara hota hai