Ibn-e-Insha

15 June 1927 - 11 January 1978 / Phillaur, Punjab / British India

Darwaaza khula rakhna

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,
Is sheher mein mein phirta hai ik wehshi o awaara,
Shaayer hai ke aashir hai, Jogi hai ke banjaara,

Darwaza khula rakhna,

Seeney se ghataa uthey, ankhon se jharri barse,
Phaagan ka nahin badal, jo chaar ghari barse,
Barkha hai yeh bhadon ki, Barse to bari barse,

Darwaza khula rakhna,

Ankhon mein to ik aalam, Ankhon mein to dunya hai,
Honthon pe magar mohrain, Mu'n se nahin kehta hai,
Kis cheez ko kho betha, Kya dhoondne nikla hai,

Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai tera saajan, Ab tujh se to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,

Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, Ankhon ko bacha rakhna,
Ik shamma dareechey ki chokhat pe jala rakhna,
Mayoor na phir jaye, Haan paas wafaa rakhna,

Darwaza khula rakhna,
Darwaza khula rakhna.
145 Total read