Ra'naa-ii men hissa hai jo Qabras ki pari ka
Nazzaara hai mas'hoor isi jalwa~gari ka
Raftaar-e-qiyaamat yuN'hi kya kam thi ke us par
Ik turfa hai fit'na tiri naazuk~kamari ka
Poshaak men kya kya shajari naqsh haiN dil~kash
Baa'is na yeh hi shauq ki hoN jaama~dari ka
La~rayb ke is husn-e-sitam~gaar ki surKHi
Moojib hai mire zuh'd ki 'is'yaaN~nazari ka
Baa~wasf-e-talaash in ki KHabar kuchh bhi na paa kar
Kya kahiye jo hai haal meri be~KHabari ka
Jab se yeh suna hai ke woh saakin haiN yaheeN ke
'Aalam hai 'ajab 'ishq ki aashufta~sari ka
Saath un ke jo aaye the hum Beirut se Hasrat
Yeh rog nateeja hai usi hum~safari ka