Harsha Miglani

India, 28th June,2000
Send Message

UN BACHPAN KE DINO KI BAAT

Jab dil maasoomiyat bhara tha, aur zindagi khul ke muskuraya karti thi,
Un bachpan ke dino ki, baat hi kuch alag hua karti thi......

Jab na to hamari hasi ko sabke beech tameez ki zarurat thi,
Aur na hi hamare aansuon ko akelepan ki talaash hua karti thi,
Un bachpan ke dino ki, baat hi kuch alag hua karti thi.....

Jab dukh se dur bhagne ke liye anchaahi jhapkiyon ke bajay, neendein sukoon bhari hua karti thi,
Un bachpan ke dino ki, baat hi kuch alag hua karti thi.....

Jab na to dil mein koi bhi ankaha dard tha, aur bas maa ki foonk marham ka kaam kiya karti thi,
Un bachpan ke dino ki, baat hi kuch alag hua karti thi.....

Jab duniya ke kadve sach se anjaan, chhal kapat ki paribhasha samaj na aaya Karti thi,
Un bachpan ke dino ki, baat hi kuch alag hua karti thi......
286 Total read