Door se door talak ek bhi daraKht na tha
tumhare ghar ka safar is qadar to saKht na tha
itne masroof the hum jane ki taiyari main
khare them tum aur tumhain dekhne ka waqt ka tha
mai jis ki khoj main Khud kho gaya tha mele main
kahi wo mera hi ehsas to kambaKht na tha
jo zulm sah ke bhi chup rah gaya na Khaul uTha
wo aur kuch ho magar admi ka rakt na tha
unhi faqiroo ne itihas banaya hai yaha
jin pe itihas ko likhne ke liye waqt na tha