mal-e-soz-e-gam hae! nihani dekhte jao
bhadak uthi hai shamma-e-zindagani dekhte jao
chale bhi aao wo hai qabr-e-fani dekhte jao
tum apne marane wale ke nishani dekhte jao
abhi kya hai kisi din khoon rulayega ye khamoshi
zuban-e-hal ki jadd-o-bayani dekhte jao
garur-e-husn ka sadaqa koi jata hai duniya se
kisi ke khak mein milati javani dekhte jao
udhar muh pher kar kya zibah karte ho, idhar dekho!
meri gardan pe khanjar ke ravani dekhte jao
bahar-e-zindagi ka lutf dekha hai aur dekhoge
kisi ka aish marg-e-nagahani dekhte jao
sune jate na the tum se mere din raat ke shikave
kafan sarakao meri be-zubani dekhte jao
wo utha shor-e-matam aakhari didar-e-mayyat par
ab utha chahate hain nash-e-fani dekhte jao