Daagh Dehlvi

1831-1905 / Dehli / India

Ghazal 16

ye jo hai hukm mere pas na aye koi
is liye ruth rahe hain k manaye koi
tak main hai nigah-e-shauq khuda khair kare
samane se mere bachta hua jaye koi
hal aflaq-o-zamin ka jo bataya bhi to kya
bat vo hai jo tere dil ki bataye koi
apne 'Dag' ko munh bhi na lagaya afsos
us ko rakhta tha kaleje se lagaye koi
ho chuka aish ka jalsa to mujhe khat bheja
ap ki tarah se mehaman bulaye koi
133 Total read