Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Ye chiragh be nazar hai ye sitara bezaban hai

Ye chiragh be nazar hai ye sitara bezaban hai
Abhi turn se milta julta koi dusra kahan hai

Wohi shakhs jis pe apne dilo jan nisaar kardun
Wo agar Khafa nahin hai to zaroor badguman hai

Kabhi pa ke tujh ko khona kabhi khoke tujh ko pana
Ye janam janam ka rishta tire mere darmiyan hai

Mire saath chaIne wale tujhe kya mila safar mein
Wohi dukh bhari zameen hai wahi gham ka asman hai

Main isi guman mein barson bada mutmain raha hun
Tira j ism be taghayyur mera pyar j avidan hai

Unhi raston ne jin par kabhi turn they saath mere
Mujhe rok rok punchha tira hamsafar kahan hai
175 Total read