Yahan suraj hasenge ansuon ko kaun dekhega
Chamkti dhoop hogi jugnuon ko kaun dekhega
Phalon ki baghbaani mein to barish ki dua hogi
Guzarte khoobsoorat baadlon ko kaun dekhega
Agar ham sahilon par dor kante leke baithenge
To maujon mein chamkti titliyon ko kaun dekhega
Hai sardi waaqayi lekin ghane kohre ki yurish mein
Pahadaon se utarti in bason ko kaun dekhega
Bahut achchha sa koi soot pahno tang dasti mein
Ujalon mein chhupi in badliyon ko kaun dekhega
Abhi apne isharon par hamein chalna nahin aya
Sadak ki lal pili battiyon ko kaun dekhega