Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Woh ghazal walon ka usloob samjhte honge

Woh ghazal walon ka usloob samjhte honge
Chand kahte hein kise khoob samajhte honge

Itni milti hai miri ghazlon se soorat teri
log tujhko mira mahboob samajhte honge

Main samajhta tha mohabbat ki zaban khushboo hai
Phool se log use khoob samajhte honge

Dekh kar Phool key auraaq pe shabnam khuchh log
Tera ashkon bhara maktoob samajhte honge

Bhool kar apna zamana ye zamane wale
Aaj key piyar ko mayoob samajhte honge
408 Total read