Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Wo chandni ka badan khushbuon ka saaya hai

Wo chandni ka badan khushbuon ka saaya hai
Bahut aziz hamein hai magar paraya hai

Utar bhi aao kabhi aasman key zeene se
Tumhen khuda ne hamare liye banaya hai

Kahan se aayeye khushboo ye ghar ki khusboo hai
Is ajnabi key andhere mein kon aaya hai

Mahak rahi hai zamin chandni ke phoolon se
Khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai

Use kisi ki mohabbat ka eitbar nahin
Use zamane ne shayad bahut sataya hai

Tamaam umr mera dam isi dhuen mein ghuta
Wo ek chiragh tha maine use bujhaya hai
348 Total read