Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Udte baadal, buzurgon ki shafqat bane

Udte baadal, buzurgon ki shafqat bane, dhoop mein ladkiyan muskurati rahin
Jab se jana ki ab koi manzil nahin manzilen raah mein ati jati rahin

Raat, pariyan, farishtey, hamara badan mangkar barf meinjal rahe they megar
Kuchh shabihein, kitabon key bujhte diye, kaghazi maqbaron meinjalati rahin

Saare din ki tapi sahili ret par do tadapti huyi machhliyan so gayin
Apne milne ki wo akhiri shaam thi lahren ati rahin lahren jati rahin

Nange paon farishton ka ek taifa aasman se zamin par utarne laga
Sar barehna falak zadiyan arsh se aansuon key sitare girati rahin

Ek dareeche do mein ansuon ka safar raat ke raston ki tarah kho gaya
Nann mitti pe girti huyi pattiyan soney walon ko chadar chadhati rahin
177 Total read