Udaas ankhon se ansu nahin nikalte hein
Ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hein
Ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hein
Tamam raat khajuron ke ped jalte hein
Main shahnshah nahin raste ka patthar hun
Yahan sawar bhi pedal utar ke chalte hein
Unhe kabhi na batana main unki aankhen hun
Wo log phool samajhkar mujhe masalte hein
Kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se
Kahin bhi jaun mire saath saath chalte hein
Ye ik ped hai aa isse milke ro Iein ham
Yahan se tere mere raaste badalte hein