Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Tu mujh se tez chalega to rasta dunga

Tu mujh se tez chalega to rasta dunga
Dua ke phool teri raah mein bichha dunga

Abhi to zindagi haayal hai tujh se milne mein
Main aaj raat ye dewaar bhi gira dunga

Agar kisi ne mujhe eik raat rok liya
To uska naam pata bhi tujhe bata dunga

Wo ajnabi hain magar aaj uski khatir main
Padhe bagher azizon key khat jalaadunga

Wochand jab meri palkon pe phool rakhega
Main apnebachche ko ek aasmannaya dunga
139 Total read