Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Suraj chanda jaisi jodi ham donon

Suraj chanda jaisi jodi ham donon
Din ka raja raat ki rani ham donon

Jagmag jagmag duniya ka mela jhuta
Sachcha sona sachchi chandi ham donon

Ik duje se milkar pure hote hein
Aadhi Aadhi eik kahani ham donon

Gharghar dukh sukhka ek deepakjale bhujhe
Har deepak mein tel aur batti ham donon

Duniya ki ye maya kankar patthar hai
Ansu, shabnam, hira, moti, ham donon

Charon or samundar badti chintayen
Lahar lahar lahrati kashti ham donon
..
Parbat parbat baadal baadal kiran kiran
Ujley par wale do panchi ham donon

Main dehleez ka deepak hun aa tez hawa
Raat guzaren apni apni ham donon
351 Total read