Suno pani me in yeh kiski sada hai by Bashir Badr | Poemist

Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Suno pani me in yeh kiski sada hai

Suno pani me in yeh kiski sada hai
Koi darya ki tah me in ro raha hai

Savere meri in aankhon ne dekha
Khuda chaaron taraf bikhra pada hai

Andheri raat ka tanha musafir
Miri palkon mein ab sehma hua hai

Sameto aur seene me in chhupa lo
Ye sannata bahut phaila hua hai

Haqeeqat surkh machhli janti hai
Badan apna sunahra ho chuka hai

Hamaari shaakh ka naukhez patta
Hawa key hont aksar chumta hai

Mujhe un neeli aankhon ne bataya
Tumhaara naam pani par likha hai
235 Total read