Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Socha nahin achha bura dekha suna kuchh bhi nahin

Socha nahin achha bura dekha suna kuchh bhi nahin
Manga khuda se raat din tere siva kuchh bhi nahin

Socha tujhe, dekha tujhe, chaha tujhe, puja tujhe
Meri khata meri wafa, teri khata kuchh bhi nahin

Jis par hamaari aankh ne moti bichaaye raat bhar
Bheja wahi kaghaz use ham ne likha kuchh bhi nahin

Ek shaam ki dehliz par baithe rahe wo der tak
Ankhon se ki batein bahut munh se kaha kuchh bhi nahin

Ahsas ki khushboo kahan, aawaz ke jugnu kahan
khamosh yaadon ke siva ghar mein raha kuchh bhi nahin

Do char din ki baat hai dil khaak mein mil jayega
Jab aag par kaghaz rakha baqi bacha kuchh bhi nahin
296 Total read