Shabnam ke aansu phool par yeh to wahi qissa hua
Ankhen miri bhigi hui chehra tira utra hua
Ab in dinon meri ghazal khushboo ki ek tasveer hai
Har lafz ghunche ki tarah khil kar tira chehra hua
Shayad use bhi Ie gaye achchhe dinon ke qafle
is bagh me in ek phool tha teri tarah hansta hua
Har cheez hai bazar mein is haath de us haath Ie
Izzat gayi shohrat gayi ruswa hue charcha hua
Mandir gaye masjid gaye, peeron faqeeron se mile
Ek usko pane ke liye kya kya kiya kya kya hua
Anmol moti pyar ke duniya churakar Ie gayi
Dil ki haweli me in koi darwaza tha toota hua
Barsaat mein dewar-o-dar ki sari tahriren mitin
Dhoya bahut mitta nahin taqdeer ka likkha hua