Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Sau khuloos baton mein sab karam khayalon mein

Sau khuloos baton mein sab karam khayalon mein
Bas zara waf a kam hai tere shehar walon mein

Pahli baar nazron ne chand bolte dekha
Ham jawab kya dete kho gaye sawalon mein

Yun kisi ki ankhon mein subh tak abhi they ham
Jis tarah rahe shabnam phool key piyalon mein

Raat teri yadon ne dil ko is tarah chheda
j aise koi chutki Ie nann nann gal on me in

Meri aankh ke taare ab na dekh paoge
Raat ke musafir they kho gaye ujalon mein

Jaise aandhi raat ke bad chand neend mein chonke
Wo gulab ki jumbish un siyaah balon mein
267 Total read