Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Sabz patte dhoop ki yeh aag jab pI Jayenge

Sabz patte dhoop ki yeh aag jab pI Jayenge
Uj ley far key kot pahne halke jade aayenge

Geele geele mandiron mein baal khole deviyan
Sochti hain iske suraj devta kab aayenge

Surkh neeley chand taare doudte hain barf par
Kal hamari tarh ye bhi dhund mein kho jayenge

Din mein daftar ki qalam mil ki mashinen sab hain ham
Raat aayegi to palkon pe sitaare aayenge

Shaam tak mela hai paagal ped panchhi kis key meet
Apni apni boliyan sab bol kar ud jayenge

Din key in baghi farishton ko sadak par j ane do
Bach gaye to shaam tak ghar laut kar aajayenge

Tanha tey karna hai sab ko raat ka sara safar
Jhadiyon mein jugnuon ke qafle kho jayenge
230 Total read