Bashir Badr

15 February 1935 - / Ayodhya, India

Phool barse kahin shabnam kahin gauhar barse

Phool barse kahin shabnam kahin gauhar barse
Aur is dil ki taraf barse to patthar barse

Koi baadal ho to thamjaye magar ashk mere
Eik raftaar se din raat barabar barse

barf key phoolon se roshan hui tareek zamin
Raat ki shaakh se jaise maho akhtar barse

Pyar ka geet andheron pe ujalon ki phuhar
Aur nafrat ki sada sheshey pe patthar barse

Barishen chhatpe khulijagahon pe hoti hein magar
Gham wo sawan hai jo in kamron ke andar barse
235 Total read